na lazzaten hain wo hansne mein aur na rone mein
jo kuchh maza hai tere sath mil ke sone mein
palang pe sej bichhata hun muddaton se jaan
kabhi tu aan ke so ja mere bichhaune mein
masak gai hai wo angiya jo tang bandhne se
to kya bahaar hai kafir ke chaak hone mein
kaha main us se ki ek baat mujh ko kahni hai
kahun main jab ki chalo mere sath kone mein
ye baat sunte hi ji mein samajh gai kafir
ki tera dil hai kuchh ab aur baat hone mein
ye sun ke boli ki hai hai ye kya kaha tu ne
paDa hai kyun mujhe duniya se ab tu khone mein
to buDha marduwa aur barahwan baras mujh ko
main kis tarah se chalun tere sath kone mein
'nazir' ek wo ayyar surti hai kafir
kabhi na aawegi wo tere jadu-Tone mein
Ghazal
Na lazzaten hain wo hansne mein aur na rone mein
Nazeer Akbarabadi