اردو हिंदी
Na laga le gae jahan dil ko | Shaahi Shayari
na laga le gae jahan dil ko

Ghazal

Na laga le gae jahan dil ko

Meer Asar

;

na laga le gae jahan dil ko
aah le jaiye kahan dil ko

mujh se le to chale ho dekho par
toDiyo mat kahin miyan dil ko

aazma aur jis mein chahe tu
sabr mein kar na imtihan dil ko

yun to kya baat hai teri lekin
wo na nikla jo tha guman dil ko

rakh na tu ab daregh nim-nigah
mar mat dekh nim-jaan dil ko

aah kya kije yan banaya hai
dil-girafta hi ghuncha san dil ko

mar gaya pis gaya na ki par aah
aafrin aise be-zaban dil ko

dushmani tu hi is se karta hai
dost rakhta hai ek jahan dil ko

mehrbani to ki na zahir mein
rakhiye bare tu mehrban dil ko

lijiyega na lijiyega phir
dekhiye to sahi butan dil ko

aazmana kahin na saKHti se
dekhiyo mere na-tawan dil ko

tu bhi ji mein use jagah dijo
manzilat thi 'asar' ke han dil ko