na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka
tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka
dikha ke dast-e-hinai na KHun baha dil ka
ki aur rang se lunga main KHun-baha dil ka
main tifl-e-ashk ko mizhgan pe dekh hairan hun
ki nur-e-dida hai ya hai baalaka dil ka
tu aaine pe na apne kar ai sikandar naz
ki hum bhi rakhte hain jam-e-jahan-numa dil ka
bahisht pahunche hai zahid! kab us ki wusat ko
ajab rawish ka hai ye bagh-e-dil-kusha dil ka
baja hun sar-ba-gareban ki us ke daman tak
na pahuncha aah kabhi dast-e-na-rasa dil ka
tere KHadang-e-mizha se hai yak-qalam majruh
na puchh ai but-e-bad-kesh! majra dil ka
lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par
subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka
hazar bain kahen kyun na ahl-e-binai
ki saf bu-qalamon hai ye aaina dil ka
bahaar tujh ko dikhaenge hum bhi ai gul-ru
kisi rawish se jo ghuncha kabhi khila dil ka
zuhur-e-jalwa-e-mabud hai bahar-surat
rakha hai nam baja KHana-e-KHuda dil ka
ruwaq-e-chashm mein mat rah ki hai makan-e-nuzul
tere to waste ye qasr hai bana dil ka
qarar o taqat o sabr o KHirad hue sab gum
tumhaari zulf mein abtar hai haal kya dil ka
kahenge hum ye sarasar jo koi puchhega
sawad-e-hind mein luTa hai qafila dil ka
na kyunki aah se KHatir nishan ho ab meri
ki tir ye nahin karta kabhi KHata dil ka
hamare dagh se bhanwre ko kya bhala nisbat
ki wo rafiq hai gul ka ye aashna dil ka
laga na dil ko tu apne kisi se dekh 'nasir'
bura na man ki is mein nahin bhala dil ka
Ghazal
Na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka
Shah Naseer