na ku-e-yar mein Thahra na anjuman mein raha
ada-e-naz se ye dil sara-e-fan mein raha
hazaron tufan uThae hain waqt aane par
lahu bhi KHas ada se mere badan mein raha
main ek rang tha rang-e-KHayal-e-awara
kisi dhanak mein kisi rut ke pairahan mein raha
ana hi thi ki na jhukne diya kabhi mujh ko
pahaD sar pe uTha kar bhi bankpan mein raha
wo main hi tha ki koi aur tha nahin malum
tamam umr jo mere hi jaan o tan mein raha
safir-e-jaan ke liye manzilen nahin hotin
koi paDaw bhi aaya to wo thakan mein raha
uThi jo saif-e-sitam be-niyaz-e-maut-o-hayat
qalam-ba-dast khaDa wadi-e-suKHan mein raha
Ghazal
Na ku-e-yar mein Thahra na anjuman mein raha
Ibrahim Ashk