na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
main apne dil ki madad gah gah karta hun
na aafrin na dilasa na dil-dahi na nigah
gharaz main hi hun jo tujh se nibah karta hun
ise kahen hain suna hoga shaiKH KHauf o raja
udhar tu tauba idhar main gunah karta hun
tu apne dil ki siyahi kare hai dho ke safed
main apne nama amal ka siyah karta hun
tu roz sang se masjid ke sar paTakta hai
main us ka naqsh-e-qadam sajda-gah karta hun
tujhe hai apni ibaadat upar nazar kyunkar
main us ke fazl ke upar nigah karta hun
misal-e-rishta-e-tasbih roz o shab 'hatim'
chhupe chhupe main kisi dil mein rah karta hun
Ghazal
Na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
Shaikh Zahuruddin Hatim