na kuchh sawal kiya aur na kuchh gila mujh se
ajib shaKHs tha mil kar bichhaD gaya mujh se
tu apni zat mein ek manzil-e-wafa hai magar
main wo charagh ki raushan hai rasta mujh se
kisi ne chhin li binai meri aankhon ki
kisi ne aaina mansub kar diya mujh se
maza to jab hai teri justuju mein jaan-e-bahaar
mere wajud ka ho jae samna mujh se
bujha diya to andheron ne aa ke gher liya
jala diya to ulajhne lagi hawa mujh se
wo sab se chhup ke mere ghar to aa gaya lekin
supurdagi ka taqaza na kar saka mujh se
jawab kuchh bhi diya jae gham nahin 'manzar'
sawal ye hai ki puchhega kya KHuda mujh se
Ghazal
Na kuchh sawal kiya aur na kuchh gila mujhse
Manzoor Imakni