اردو हिंदी
Na koi un ke siwa aur jaan-e-jaan dekha | Shaahi Shayari
na koi un ke siwa aur jaan-e-jaan dekha

Ghazal

Na koi un ke siwa aur jaan-e-jaan dekha

Mirza Raza Barq

;

na koi un ke siwa aur jaan-e-jaan dekha
wahi wahi nazar aaega jahan jahan dekha

bahisht mein bhi usi hur ko rawan dekha
yahan jo dekh chuke the wahi wahan dekha

KHizan-e-umr kuja o kuja bahaar-e-shabab
falak ko rashk hua koi jab jawan dekha

gae jahan se jo log do jahan se gae
kisi ne phir na kabhi apna karwan dekha

jalaya bazm mein har roz shama ke manind
hazaron baaten sunain jo be-zaban dekha

qayamat aai ye taDpa firaq mein ai 'barq'
na phir zamin ko paya na aasman dekha