na koi tir na koi kaman baqi hai
magar wo ek nigah-e-mehrban baqi hai
uDa ke le gain hijrat ki aandhiyan sab kuchh
bas apne sar pe khula aasman baqi hai
ek aur tir chala apna ahd pura kar
abhi parinde mein thoDi si jaan baqi hai
faza mein gunj rahi hai sada-e-mazluman
zaban KHamosh hai lekin bayan baqi hai
miTa saka na kabhi waqt ka ghubar use
fasil-e-shab pe lahu ka nishan baqi hai
hamare shahr pe viraniyan musallat hain
makin to koi nahin hai makan baqi hai
nafas nafas hai wahi aazmaishon ka safar
qadam qadam pe wahi imtihan baqi hai
masal ye sach hai ki rassi ke bal nahin jate
ukhaD chuki hai hawa aan-ban baqi hai
ata hui hai hamein aisi jurat-e-parwaz
ki par shikasta hain lekin uDan baqi hai
kisi kinare laga degi mehrban hawa
shikasta naw sahi baadban baqi hai
dua ke hath bhi shal ho gae magar ai 'naz'
wahi zamin wahi aasman baqi hai
Ghazal
Na koi tir na koi kaman baqi hai
Naz Quadri