na koi shaKHs na saya kahin nagar mein tha
bala ka KHwab-e-tamasha meri nazar mein tha
ubharte Dubte rishton ki dhup chhanw mein
ek ajnabi ki tarah main bhi apne ghar mein tha
saron ke phul ki barish na tham saki aaKHir
umaDte dar ka sawan mere nagar mein tha
taDap rahi thin darichon mein Dubti kirnen
guzarte waqt ka suraj kahin khanDar mein tha
pukar len na kahin dhup mein ghani shaKHen
bas ek KHauf yahi dosto safar mein tha

Ghazal
Na koi shaKHs na saya kahin nagar mein tha
Shamshad Shahar