na koi nilam na koi hira na motiyon ki bahaar dekhi
samundaron ki tahon mein utra to pattharon ki qatar dekhi
main apne gulshan mein mausamon ke azab gin gin ke thak gaya hun
main kaise kah dun bahaar aai main kaise kah dun bahaar dekhi
main gham ka sahra ubur karne ke baad KHud se bichhaD gaya hun
ajib rah-e-najat nikli ajib rah-e-farar dekhi
hawa ka daman lahu lahu tha faza ke andar ghuTan ghuTan thi
gulal miTTi mein ret uDti hui sar-e-rahguzar dekhi
Ghazal
Na koi nilam na koi hira na motiyon ki bahaar dekhi
Suraj Narayan