اردو हिंदी
Na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna | Shaahi Shayari
na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna

Ghazal

Na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna

Murli Dhar Shad

;

na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna
jise samjhe the apna dil wo dil bhi ab kahan apna

jo ho chashm-e-karam teri jo ho tu mehrban apna
zamin apni falak apna makin apne makan apna

wo le kar aaina baiThe the lene imtihan apna
kiya hathon se apne daman-e-dil dhajjiyan apna

bhaTakte phir rahe hain justuju-e-yar mein ab tak
kahin Tikne nahin deta hamein wahm-o-guman apna

jawani mein kise neki badi ka hosh hota hai
jawani mein nahin kuchh sujhta sud-o-ziyan apna

zamane ne wo karwaT meri duniya badal Dali
na ab hai raaz-dan koi na koi mehrban apna

kisi ko yaad hum aate nahin is anjuman mein ab
ba-hamdillah zikr-e-KHair rahta tha jahan apna

wo gul hain hum gulistan se uDe yun bu-e-gul ban kar
na DhunDe se mila gulchin ko phir nam-o-nishan apna

maza ustad ke sheron ka hum ko 'shad' aata hai
wo hai tarz-e-suKHan apni wo hai rang-e-bayan apna