na koi mamnua dana khana na KHauf dil mein utarna tha 
jo hum ne pahla gunah kiya tha kisi ki naqlen utarna tha 
jadid duniya mein aane walon ki pahli muDbheD hum se hoti 
hamare unit ka kaam un ke badan se mohren utarna tha 
KHuda na hota to karwan-e-jahan mein apni jagah na banti 
ki in dinon mein hamara pesha safar mein nazren utarna tha 
hum aise lafzon ke karigar the ki manDiyon mein hamara Theka 
shuur-e-kuza-gari ki KHatir waraq pe shaklen utarna tha 
hamare logon ne bahami mashware se mil kar bujha diye the 
wo dip jin ke hasab nasab mein zamin pe subhen utarna tha 
hamari ghaDiyon pe sham hone mein panch bajne mein din paDe the 
so hum ko chhuTTi se pahle KHud ko kisi lahad mein utarna tha 
kisi ke lahje ki chaT aisi lagi ki apna shiar 'arish' 
mukalme ke junun mein KHud par udas nazmen utarna tha
        Ghazal
Na koi mamnua dana khana na KHauf dil mein utarna tha
Sarfraz Arish

