na koi KHwab na mazi hi mere haal ke pas
koi kamal na Thahra mere zawal ke pas
na miThe lafz na lahja hi indimal ke pas
jawab ka to guzar bhi nahin sawal ke pas
firaq o wasl ke mani badal ke rakh dega
tere KHayal ka hona mere KHayal ke pas
masarraton ke dukhon ka to zikr bhi bekar
kahan hai koi mudawa kisi malal ke pas
nahin hai koi bhi sarhad mere junun aage
jahan-e-husn-e-jahan hai tere jamal ke pas
shikariyon ki ummiden sanwarti rahti hain
tuyur ghumte phirte hain KHub jal ke pas
tumhaare lafz use khinchte to the 'shahpar'
junub kaise pahunchta magar shumal ke pas

Ghazal
Na koi KHwab na mazi hi mere haal ke pas
Shehpar Rasool