na koi hijr na koi visal hai shayad
bas ek haalat-e-be-mah-o-sal hai shayad
hua hai dair-o-haram mein jo moatakif wo yaqin
takan-e-kashmakash-e-ehtimal hai shayad
KHayal-o-wahm se bartar hai us ki zat so wo
nihayat-e-hawas-e-KHadd-o-KHal hai shayad
main sath-e-harf pe tujh ko utar laya hun
tera zawal hi mera kamal hai shayad
main ek lamha-e-maujud se idhar na udhar
so jo bhi mere liye hai muhaal hai shayad
wo inhimak har ek kaam mein ki KHatm na ho
to koi baat hui hai malal hai shayad
guman hua hai ye amboh se jawabon ke
sawal KHud hi jawab-e-sawal hai shayad
Ghazal
Na koi hijr na koi visal hai shayad
Jaun Eliya