na koi dost na dushman ajib duniya hai
ye zindagi hai ki tanhaiyon ka sahra hai
badalte rahte hain har moD par safar ke rafiq
gham-e-hayat magar sath sath chalta hai
ye shahr-e-dard hai logon sambhal sambhal ke chalo
har ek zarre mein aabaad dil ki duniya hai
banega ye naya aasman-e-fikr-o-nazar
ghubar-e-rah jo pamal ho ke uTTha hai
jo dekhiye to bagula hai reg-e-awara
jo sochiye to yahi aabru-e-sahra hai
kuchh aaj rang hai maila faza ke aanchal ka
zarur aadam-e-KHaki idhar se guzra hai
'sarosh' wadi-e-ghurbat se be-KHabar guzro
tumhaare sath mohabbat ka narm saya hai

Ghazal
Na koi dost na dushman ajib duniya hai
Rifat Sarosh