اردو हिंदी
Na koi din hota hai na koi zat hoti hai | Shaahi Shayari
na koi din hota hai na koi zat hoti hai

Ghazal

Na koi din hota hai na koi zat hoti hai

Gulshan Barelvi

;

na koi din hota hai na koi zat hoti hai
mohabbat karne walon ki nirali baat hoti hai

bisat-e-zist par hum chaal chalte hain qarine se
zara si chuk ho jae to bazi mat hoti hai

hiqarat ki nazar se dekhte hain log mahfil mein
gharibon ki bhala duniya mein kya auqat hoti hai

buzurgon ki duaen hain jo sar jhukne nahin detin
KHushi aur gham wagarna kis ke bas ki baat hoti hai

aur un se ye muamma aaj tak hal ho nahin paya
ki din aata hai pahle ya ki pahle raat hoti hai

kisi ne sach kaha hai ek tamasha-gah hai duniya
khilaunon ki magar chabi KHuda ke hat hoti hai

KHizan ka daur ho ya wo bahaaron ka zamana ho
koi mausam ho ai 'gulshan' hamari baat hoti hai