na koi dar na daricha magar makan to hai
zamin hai zer-e-qadam sar pe aasman to hai
hazar jalwon ka to raaz-dan hai aaina
hui na aankh mayassar tujhe zaban to hai
badalta rahta hai rang aasman lamhon mein
sitam-shiar abhi mujh se KHush-guman to hai
gham-e-hayat se ghabra ke tajarbe ke liye
chale hi jaenge ab dusra jahan to hai
tamam sahra-o-dasht-o-jabal kahen labbaik
azal se phaili fazaon mein ek azan to hai
zahe-nasib jagah thoDi chashm-e-tar mein mili
sulagti dhup mein ek sard saeban to hai
mohr-ba-lab hun pa shart-e-kalam qaem hai
meri shakeb-e-ayazi ka imtihan to hai
saud fikr-e-taghazzul ko bojh hai to rahe
har ek harf haqiqat ka tarjuman to hai
asar ke sher mein husn-o-kashish ki hai taujih
nai jihat na sahi zeb-e-dastan to hai

Ghazal
Na koi dar na daricha magar makan to hai
Marghoob Asar Fatmi