na koi apna gham hai aur na ab koi KHushi apni
tumhin kah do ki hum kaise guzaren zindagi apni
fareb-e-ham-safar hai aur rah-e-gham ka sannaTa
munasib hai ki KHud ho ai junun ab rahbari apni
ujala mahfilon mein kar ke bhi aansu hi hath aae
na ras aai kabhi KHud shama ko bhi raushni apni
guzarish hai ki ai mabud mujh ko zabt-e-gham de de
na kar de fash raaz-e-arzu ko bekasi apni
taDap jaega har dil shams' ka jab nam aaega
numayan yun bhi hogi dastan-e-gham kabhi apni

Ghazal
Na koi apna gham hai aur na ab koi KHushi apni
Shams Farrukhabadi