اردو हिंदी
Na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai | Shaahi Shayari
na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai

Ghazal

Na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai

Faiz Ahmad Faiz

;

na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai
na karam hai hum pe habib ka na nigah hum pe adu ki hai

saf-e-zahidan hai to be-yaqin saf-e-mai-kashan hai to be-talab
na wo subh wird-o-wazu ki hai na wo sham jam-o-subu ki hai

na ye gham naya na sitam naya ki teri jafa ka gila karen
ye nazar thi pahle bhi muztarib ye kasak to dil mein kabhu ki hai

kaf-e-baghban pe bahaar-e-gul ka hai qarz pahle se besh-tar
ki har ek phul ke pairahan mein numud mere lahu ki hai

nahin KHauf-e-roz-e-siyah hamein ki hai 'faiz' zarf-e-nigah mein
abhi gosha-gir wo ek kiran jo lagan us aaina-ru ki hai