na kisi ko fikr-e-manzil na kahin suragh-e-jada
ye ajib karwan hai jo rawan hai be-irada
yahi log hain azal se jo fareb de rahe hain
kabhi Dal kar naqaben kabhi oDh kar labaada
mere roz-o-shab yahi hain ki mujhi tak aa rahi hain
tere husn ki ziyaen kabhi kam kabhi ziyaada
sar-e-anjuman taghaful ka sila bhi de gai hai
wo nigah jo dar-haqiqat thi nigah se ziyaada
ho bara-e-sham-e-hijran lab-e-naz se farozan
koi ek sham-e-paiman koi ek charagh-e-wada
Ghazal
Na kisi ko fikr-e-manzil na kahin suragh-e-jada
Suroor Barabankvi

