اردو हिंदी
Na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz | Shaahi Shayari
na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz

Ghazal

Na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz

Asghar Gondvi

;

na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz
husn bhi raaz aur ishq bhi raaz

raaz ki justuju mein marta hun
aur main KHud hun ek parda-e-raaz

baal-o-par mein magar kahan paen
bu-e-gul yani himmat-e-parwaz

saz-e-dil kya hua wo TuTa sa
sari hasti hai gosh-bar-awaz

lazzat-e-sajda-ha-e-shauq na puchh
hae wo ittisal-e-naz-o-niyaz

dekh ranai-e-haqiqat ko
ishq ne bhar diya hai rang-e-majaz

saz-e-hasti ka jaeza kaisa
tar kya dekh tar ki aawaz