na KHuda hai na naKHuda hai koi
zindagi goya saneha hai koi
na to be-qufl hai daricha-e-zehn
na dar-e-dil khula hua hai koi
na maza gumrahi mein milta hai
na sambhalne ka rasta hai koi
main ki tanha tha ab bhi tanha hun
phir bhi mujh se bichhaD gaya hai koi
zat mat dekh karb-e-zat ko dekh
kaise andar se TuTta hai koi
mubtala ruh ke azab mein hun
kab se dil ko khurach raha hai koi
jaane kis subh ki tamanna mein
raat-bhar shama san jala hai koi
fursat-e-zindagi bahut kam hai
aur bahut der aashna hai koi
tum bhi sachche ho main bhi sachcha hun
kab yahan jhuT bolta hai koi
Ghazal
Na KHuda hai na naKHuda hai koi
Shahid Ishqi

