اردو हिंदी
Na Khaali zehn yun duniya ka rah jae | Shaahi Shayari
na Khaali zehn yun duniya ka rah jae

Ghazal

Na Khaali zehn yun duniya ka rah jae

Mahshar Badayuni

;

na KHali zehn yun duniya ka rah jae
ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae

zaminon par na yun qabza karen shahar
koi to rasta sahra ka rah jae

mere bare mein lahren kuchh bhi sochen
main kahta hun bharam dariya ka rah jae

jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho
safar aadha safar-paima ka rah jae

numud-e-zaKHm kam aur ye tamanna
qafas ho kar qafas-ara ka rah jae

alag hi us ka naghma hai shajar par
qayam us tair-e-tanha ka rah jae