na kashti hai na fikr-e-na-KHuda hai
dil-e-tufan-talab ka aasra hai
ilahi KHair namus-e-wafa ki
unhen bhi fikr-e-namus-e-wafa hai
subuk-saran-e-sahil jaante hain
dil-e-sahil mein kya tufan bapa hai
nahin ye naghma-e-shor-e-salasil
bahaar-e-nau ke qadmon ki sada hai
farogh-e-mah kya aur kahkashan kya
ye mere mah-e-nau ki KHak-e-pa hai
zamane ki ghulami ham-nafas kyun
zamana aadmi ki KHak-e-pa hai
shikayat-ha-e-soz-e-tishnagi kyun
abhi 'saghar' dar-e-mai-KHana-wa hai

Ghazal
Na kashti hai na fikr-e-na-KHuda hai
Saghar Nizami