اردو हिंदी
Na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi | Shaahi Shayari
na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi

Ghazal

Na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi

Saqib Kanpuri

;

na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi
na TuT jae kahin ye sukut-e-nim-shabi

ye kawish-e-gham-e-pinhan hai ishq ka hasil
rawa nahin teri furqat mein aarzu-talabi

KHuda kare yahin ruk jae gardish-e-dauran
hai raazdar-e-mohabbat sukut-e-nim-shabi

kahan hua hai tu shikwa-guzar-e-mahrumi
jahan hai sans bhi lena kamal-e-be-adabi

numud-e-husn hai goya sarab ka aalam
ye kaenat hai hangama hae bulajabi

dikha raha hun nasheb-o-faraaz aalam ke
magar ye dil hai ki hai mahw-e-intiha-talabi

mujhe bhi faKHr hai is silsile mein ai 'saqib'
KHuda ka shukr ki hun hashmi-o-muttalabi