اردو हिंदी
Na kar talash-e-asar tir hai laga na laga | Shaahi Shayari
na kar talash-e-asar tir hai laga na laga

Ghazal

Na kar talash-e-asar tir hai laga na laga

Arzoo Lakhnavi

;

na kar talash-e-asar tir hai laga na laga
jo apne bas ka nahin us ka aasra na laga

hayat lazzat-e-azar ka hai dusra nam
namak chhiDak to chhiDak zaKHm par dawa na laga

mere KHayal ki duniya mein is jahan se dur
ye baiThe baiThe hua gum ki phir pata na laga

KHushi ye dil ki hai is mein nahin hai aql ko daKHl
bura wo kahte rahe aur kuchh bura na laga

chamak se barq ki kam-tar hai waqfa-e-didar
nazar haTi ki use hath ek bahana laga

meri talash thi tashwish-e-dida-e-be-nur
wo milte kya mujhe apna hi jab pata na laga