na kar shumar ki har shai gini nahin jati
ye zindagi hai hisabon se ji nahin jati
ye narm lahja ye rangini-e-bayan ye KHulus
magar laDai to aise laDi nahin jati
sulagte din mein thi bahar badan mein shab ko rahi
bichhaD ke mujh se bas ek tirgi nahin jati
naqab Dal do jalte udas suraj par
andhere jism mein kyun raushni nahin jati
har ek rah sulagte hue manazir hain
magar ye baat kisi se kahi nahin jati
machalte pani mein unchai ki talash fuzul
pahaD par to koi bhi nadi nahin jati
Ghazal
Na kar shumar ki har shai gini nahin jati
Fazl Tabish