na kar pae dushman bhi jo dushmani mein
kiya hai rafiqon ne wo dosti mein
buzurgon se paya hai ye raaz hum ne
hai jine ki lazzat faqat sadgi mein
abas hai ibaadat abas is ka taqwa
agar aadamiyat nahin aadmi mein
falak tak agar tu gaya bhi to kya hai
bahut fasla hai abhi aagahi mein
zamane ko ab koi kaise batae
baDi tirgi hai nai raushni mein
bahadur mara ek hi bar 'laghar'
kai bar buzdil mara zindagi mein

Ghazal
Na kar pae dushman bhi jo dushmani mein
Om Prakash Laghar