اردو हिंदी
Na kar dil-jui ai sayyaad meri | Shaahi Shayari
na kar dil-jui ai sayyaad meri

Ghazal

Na kar dil-jui ai sayyaad meri

Hafeez Jalandhari

;

na kar dil-jui ai sayyaad meri
ki fitrat hai bahut aazad meri

asiri se rihai pane walo
tumhein pahunche mubarakbaad meri

sahaara kyun liya tha naKHuda ka
KHuda bhi kyun kare imdad meri

bhula do mujh ko lekin yaad rakhna
sataegi tumhein bhi yaad meri

farishte kya murattab kar sakenge
bahut be-rabt hai rudad meri

pasand aane lagi thi sar-bulandi
yahi thi awwalin uftad meri

kya paband-e-nai nale ko main ne
ye tarz-e-KHas hai ijad meri

mere ashaar par chup rahne wale
tere hisse mein aai dad meri

qaza ka zulm had se baDh gaya hai
koi sunta nahin fariyaad meri

KHudawanda qaza ne chhin li hai
mere aaghosh se 'irshad' meri