na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
to wafaen meri hi pesh kar mere KHun-e-dil ke jawaz mein
meri KHak mein teri sans hai teri raushni mere pas hai
mujhe dil diya sanam-ashna mera sar jhuka hai namaz mein
kabhi KHat ko tere chhupa liya kabhi ashk aae to pi liye
meri zindagi to guzar gai isi parda-dari-e-raaz mein
kisi ghaznawi ke nasib mein kahan wo uruj-e-niyaz tha
kai ghaznawi the juDe hue isi ek libas-e-ayaz mein
hain tere siwa bhi bahut hasin mujhe to nazar se gira nahin
usi aasman ke sae mein usi KHak-dan-e-majaz mein
na yun faKHr kar na yun sar uTha ki ye sach hai 'KHalid'-e-be-nawa
tu ye soch le tu ye jaan le ki nasheb bhi hain faraaz mein

Ghazal
Na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
Khalid Fatehpuri