na kah ki be-asar anfas-e-sard hote hain
mujhi se kya koi sab ahl-e-dard hote hain
hawas hai ishq ki ahl-e-hawa ko hum to miyan
sune se nam mohabbat ka zard hote hain
mata-e-qahba-e-duniya pe kar na chashm-e-siyah
ki mal-e-zan nahin khate jo mard hote hain
ye lat tujhi ko hai pyare wagarna kya koi
jo KHub-ru hain wo sab kucha-gard hote hain
muhit-e-wasl ko pahunche hain wo koi 'qaem'
jo tarah sail ke sahra-naward hote hain
Ghazal
Na kah ki be-asar anfas-e-sard hote hain
Qayem Chandpuri