na karwan ka hamare koi nishan raha
na ham-safar na hi kashti na baadban raha
zamin apni taraf khinchti rahi mujh ko
sawar sar pe sada mere aasman raha
mujhe KHabar thi gaya tha tu ghair se milne
main jaan-bujh ke mahfil mein be-zaban raha
tamam umr musallat raha wo dil pe mere
tamam umr main zalim ka mezban raha
hua na qaid-e-zaman-o-makan se main aazad
zamin se dur magar zer-e-asman raha
sharik wo bhi tha mere KHilaf sazish mein
ki jis ke sath sada mera khan-pan raha
na dil mein jalti hui aag bujh saki 'abid'
na sar pe mere kabhi koi saeban raha

Ghazal
Na karwan ka hamare koi nishan raha
Mohammad Abid Ali Abid