اردو हिंदी
Na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi | Shaahi Shayari
na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi

Ghazal

Na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi

Nasir chaudhri

;

na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi
mere KHilaf hui us ke sath KHilqat bhi

wo shaKHs yun tha ki jaise dhula-dhulaya hua
thi KHatm us pe har ek tarah ki nafasat bhi

wo jama-zeb tha itna ki takte hi rahiye
ye dil to chahta tha mustaqil rafaqat bhi

bila-sabab na tha us mein wafur-e-KHud-bini
ghurur-e-husn ke ham-rah thi nazakat bhi

tha us ka chehra-e-zeba ki mah-para koi
sukun-baKHsh thi us ki mujhe tamazat bhi

barat na sakta tha khul kar wo iltifat magar
thi us ki chashm-e-fusun-saz mein murawwat bhi

main us ke samne gum-sum raha suKHan-basta
na kar saka kabhi arz-e-hunar ki jurat bhi

main kar-gah-e-jahan mein azal se hun tanha
na ras aai mujhe mahwashon ki qurbat bhi

hujum-e-shauq mein yun bhi hua ki main 'nasir'
hawas gum kiye bhule raha zehanat bhi