na jis ka koi sahaara ho wo kidhar jae
na aae maut to be-maut kaise mar jae
main is KHayal se un se gila nahin karta
kahin na phul se chehre ka rang utar jae
tu hi bata de mujhe be-kasi-e-manzil-e-shauq
jo rah se bhi na waqif ho wo kidhar jae
hazaron taur nahin chashm-e-marifat ke liye
jahan jahan teri moajiz-numa nazar jae
tajalliyat se mamur hai har ek zarra
bila-sabab na koi koh-e-tur par jae
na pi tu apne ye aansu mazaq mein 'saqi'
kahin na zahr mohabbat mein kaam kar jae
Ghazal
Na jis ka koi sahaara ho wo kidhar jae
Aulad Ali Rizvi