اردو हिंदी
Na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi | Shaahi Shayari
na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi

Ghazal

Na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi

Shiv Charan Das Goyal Zabt

;

na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi
na paida ishq hoga aur na dil mein raushni hogi

wo nikle honge jab sahn-e-chaman mein be-naqab ho kar
nazar aaKHir nazar hai be-irada uTh gai hogi

namazi ja rahe hain aaj kyun su-e-sanam-KHana
bahaar-e-be-KHudi shayad wahan bhi aa gai hogi

na jaane dekhiye kab tak rahe mashq-e-sitam mujh par
kahan tak bekasi meri kisi ki dil-lagi hogi

na kar ab tazkira us bazm-e-rindan ke ujaDne ka
kisi kam-zarf ke aane se mahfil uTh gai hogi

hamari KHamushi kah degi afsana zamane ka
tumhaari guftugu mohtaj-e-sharh-e-zindagi hogi

khulega raaz tera 'zabt' us din un ki mahfil mein
ki jab dil ki kahani aansuon mein Dhal gai hogi