na jaane sham ne kya kah diya sawere se
ujale hath milane lage andhere se
shajar ke hisse mein bas rah gai hai tanhai
har ek parinda rawana hua basere se
jo us ki bin ki dhun par hua hai raqs-andaz
Thani rahi hai usi sanp ki sapere se
abhi ye raushni chubhti hui hai aankhon mein
abhi hum uTh ke chale aae hain andhere se
tumhaara shahr-e-nigaran to KHub hai 'azhar'
bacha ke lae hain dil aarzu ke ghere se
Ghazal
Na jaane sham ne kya kah diya sawere se
Azhar Nawaz