na jaane rabt-e-masarrat hai kis qadar gham se
KHabar KHushi ko mili bhi to chashm-e-pur-nam se
zaban kholiye KHalwat mein be-hijabana
chhupai jati hai kab dil ki baat mahram se
kisi ki yaad mein kya kya na hum pe bit gai
jahan ne di thi jo fursat zara hamein gham se
shuur-e-shana-kashi dekhiye unhen kab aae
mizaj-e-zist hai wabasta zulf-e-barham se
fareb-e-dost na khate to aur kya karte
yahi to rasm chali aa rahi hai aadam se
ye aaj kaun si taqsir ho gai 'nami'
ki dost bhi to milate nahin nazar hum se
Ghazal
Na jaane rabt-e-masarrat hai kis qadar gham se
Abid Nami