اردو हिंदी
Na jaane kya kami thi chahaton mein | Shaahi Shayari
na jaane kya kami thi chahaton mein

Ghazal

Na jaane kya kami thi chahaton mein

Tripurari

;

na jaane kya kami thi chahaton mein
maza kuchh bhi na aaya ranjishon mein

muayyan tha yahi mausam milan ka
main akasr sochta hun barishon mein

wo ek laDki main jis ka ho na paya
kami kuchh thi na us ki mannaton mein

jise tum meri qismat kah rahe ho
wo kab se phir rahi hai gardishon mein

har ek manzil pe ja ke lauT aaya
kami si khal rahi thi manzilon mein

mila un ko na dushman man mutabiq
jo pichhe rah gae the koshishon mein