na jaane kitni riwayaten munhadim huin hain
bapa jahan bhi hai shor-e-mahshar khaDa hua hun
ye kaisa manzar hai us ko kis zawiye se dekhun
ki KHud bhi is daere ke andar khaDa hua hun
ab is nazare ki tab laun to kaise laun
wahi hai maidan wahi hai lashkar khaDa hua hun
hazar tufan-e-barq-o-baran hain sahilon par
liye hue ek shikasta langar khaDa hua hun
Ghazal
Na jaane kitni riwayaten munhadim huin hain
Asrar Zaidi