na-jaane kitne lahje aur kitne rang badlega
wo apne haq mein hi sare usul-e-jang badlega
KHala mein tairte maskan rihaish ke liye honge
ye mustaqbil mera tahzib-e-KHisht-o-sang badlega
dar-o-diwar kya jaanen khula-pan aasmanon ka
kushada-dil wahi hoga jo zehan-e-tang badlega
baDhaega wo apne qad ko banson par khaDe ho kar
kabhi tariKH badlega kabhi farhang badlega
amir-e-shahr ne hum ko sagan-e-shahr samjha hai
wo apna kaam rokega na apna Dhang badlega
bahut chhoTa sahi ye dil magar 'anjum' ye mumkin hai
tawazun ishq ka ab to yahi pasang badlega
Ghazal
Na-jaane kitne lahje aur kitne rang badlega
Farooq Anjum