na jaane kaun si ghaflat mein hun main
ajab se dard ki shiddat mein hun main
chalo phir kal milunga yar tum se
abhi to ishq ki mayyat mein hun main
dikha tha KHwab mein rota hua dil
kahun kya ab talak dahshat mein hun main
mujhe tum DhunDhte phirte kahan ho
tumhaare pyar ki lazzat mein hun main
hamein bichhDe to ek arsa hua par
suna hai aaj tak aadat mein hun main
kisi jadu ya Tone ka asar hai
suno kuchh rose se diqqat mein hun main
tumhein kuchh 'mit' se kahna hai shayad
chale aao abhi fursat mein hun main
Ghazal
Na jaane kaun si ghaflat mein hun main
Amit Sharma Meet

