na jaane kaun sa rishta hai mujh se nata hai
meri ghazal ko wo tanhaiyon mein gata hai
dariche main ne muqaffal to kar liye lekin
wo KHushbuon ki tarah ghar mein aata jata hai
main us ke waste mushkil sa ek sabaq Thahra
wo mujh ko yaad to karta hai bhul jata hai
wo ek lams ki ab tak na bhul paya main
na jaane kaise kisi ko koi bhulata hai
'nasim' jis se talluq tha chand lamhon ka
wo ban ke yaad-e-guzishta mujhe satata hai

Ghazal
Na jaane kaun sa rishta hai mujhse nata hai
Naseem Ahmad Naseem