na jaane kaun sa manzar nazar se guzra tha
ki muddaton koi sauda-e-sar se guzra tha
phir is ke baad ana ka shikar ho baiTha
main ek bar teri rah-guzar se guzra tha
basi hui hai mahak tere pairahan jaisi
abhi abhi koi jhonka udhar se guzra tha
guzar saka na tere zabt ke hisar se jo
wo sail-e-gham bhi meri chashm-e-tar se guzra tha
thake thake se wo bazu wo fath-mand aankhen
safar tawil koi baal-o-par se guzra tha
main naqd-e-jaan liye baiTha raha magar 'raunaq'
na jaane dushman-e-jaani kidhar se guzra tha
Ghazal
Na jaane kaun sa manzar nazar se guzra tha
Raunaq Raza