na jaane kaun sa manzar nazar mein rahta hai
tamam umr musafir safar mein rahta hai
laDai dekhe hue dushmanon se mumkin hai
magar wo KHauf jo diwar-o-dar mein rahta hai
KHuda to malik-o-muKHtar hai kahin bhi rahe
kabhi bashar mein kabhi jaanwar mein rahta hai
ajib daur hai ye tai-shuda nahin kuchh bhi
na chand shab mein na suraj sahar mein rahta hai
jo milna chaho to mujh se milo kahin bahar
wo koi aur hai jo mere ghar mein rahta hai
badalna chaho to duniya badal bhi sakti hai
ajab futur sa har waqt sar mein rahta hai
Ghazal
Na jaane kaun sa manzar nazar mein rahta hai
Nida Fazli