na jaane kal hon kahan sath ab hawa ke hain
ki hum parinde maqamat-e-gum-shuda ke hain
sitam ye dekh ki KHud mo'tabar nahin wo nigah
ki jis nigah mein hum mustahiq saza ke hain
qadam qadam pe kahe hai ye ji ki lauT chalo
tamam marhale dushwar-e-intiha ke hain
fasil-e-shab se ajab jhankte hue chehre
kiran kiran ke hain pyase hawa hawa ke hain
kahin se aai hai 'bani' koi KHabar shayad
ye tairte hue sae kisi sada ke hain
Ghazal
Na jaane kal hon kahan sath ab hawa ke hain
Rajinder Manchanda Bani

