اردو हिंदी
Na jaane kaisi aandhi chal rahi hai | Shaahi Shayari
na jaane kaisi aandhi chal rahi hai

Ghazal

Na jaane kaisi aandhi chal rahi hai

Sardar Asif

;

na jaane kaisi aandhi chal rahi hai
hai jangal KHush ki basti jal rahi hai

kahin pani se dhoka kha na jaana
ye naddi muddaton daldal rahi hai

tera suraj bhi ThanDa ho raha hai
hamari umr bhi ab Dhal rahi hai

koi shikwa nahin hum ko kisi se
KHud apni zat hum ko chhal rahi hai

hamein barbaad kar ke KHush bahut thi
magar ab hath duniya mal rahi hai

tumhaare lafz shoale kyun hue hain
ghazal lagta hai jaise jal rahi hai