na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha
ki sang-e-mil tha aur rah-guzar ki qaid mein tha
dikhai deta tha muKHtar dast-o-bazu se
magar wo shaKHs kisi be-hunar ki qaid mein tha
main KHwab KHwab tha har jashn-e-arzu ka asir
khuli jo aankh to apne hi ghar ki qaid mein tha
khuli fazaen milin jab to ai hawa-e-chaman
main be-bazaati-e-baal-o-par ki qaid mein tha
main KHush hun yun ki abhi tak teri nazar mein nahin
wo ashk-e-KHun jo meri chashm-e-tar ki qaid mein tha
na kar saka kisi manzil ka ehtiram ki main
junun-e-shauq ka mara safar ki qaid mein tha
main uD raha tha fazaon ki wusaton mein magar
mera wajud abhi baam-o-dar ki qaid mein tha
kiya tha raat tasawwur mein jis ne qasd-e-farar
wo subh pa-ba-girafta sahar ki qaid mein tha
Ghazal
Na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha
Raunaq Raza