اردو हिंदी
Na jaane kab se barabar meri talash mein hai | Shaahi Shayari
na jaane kab se barabar meri talash mein hai

Ghazal

Na jaane kab se barabar meri talash mein hai

Aziz Bano Darab Wafa

;

na jaane kab se barabar meri talash mein hai
ye kaun KHud mere andar meri talash mein hai

wo mujh mein aur kisi ko talash karta hai
jo mere pas bhi rah kar meri talash mein hai

gila tha jis ko ki main us ka aaina na bani
ab apne sae se thak kar meri talash mein hai

ubal paDun na main ek din kahin kinaron se
zamin hun main samundar meri talash mein hai