na jaane kab basar hue na jaane kab guzar gae
KHushi ke intizar mein jo roz-o-shab guzar gae
har aane wale shaKHs ka dabaw meri samt tha
main raste se haT gaya to sab ke sab guzar gae
mere liye jo waqt ka shuur le ke aae the
mujhe KHabar hi tab hui wo lamhe jab guzar gae
samundaron ke sahilon pe KHak uD rahi hai ab
jo tishnagi ki aab the wo tishna-lab guzar gae
magar wo tere baam-o-dar ki azmaton ka pas tha
teri gali se be-adab bhi ba-adab guzar gae
wafur-e-imbisat mein kise rahenge yaad hum
agar jahan-e-rang-o-bu se be-sabab guzar gae
baja hai tera ye gila ki main bahut badal gaya
dar-asl mujh pe hadse hi kuchh ajab guzar gae
kahin kahin to rah bhi KHud ek sadd-e-rah thi
magar hum aise saKHt-jaan ba-nam-e-rab guzar gae
hui na qadar mehr ki KHulus raegan gaya
rah-e-wafa se 'rashk' hum wafa-talab guzar gae
Ghazal
Na jaane kab basar hue na jaane kab guzar gae
Rashk Khaleeli