na jaane dil kahan rahne laga hai
kai din se badan suna paDa hai
kisi jangal mein kyun jata nahin hai
are ye peD kyun tanha khaDa hai
munDeron pe kabutar nachte hain
kiwaDon par siyah tala paDa hai
koi to ghar ki shamon ko jalae
darichon mein andhera ho chala hai
ye diwaren bhi ab girne lagi hain
yahan bhi waqt ka saya paDa hai
chala-chal dekh Das jae na tujh ko
tere pichhe tera saya laga hai
sanobar ki ghani shaKHon pe 'alwi'
parindon ka ajab mela laga hai
Ghazal
Na jaane dil kahan rahne laga hai
Mohammad Alvi